Friday, August 21, 2009

WAH KYA JIYAPUR(JAIPUR) HAI!!!!


Hey! chalo main aapko wo dikhata hoon jo main roz dekhta hoon…. mere ghar area se hote hue.. kuch paper haath me liye… lost sa ek ladka (abhi) bhagata hua college area ki taraf jaata hai… kuch hairaan, kuch pareshan.. aur kuch subha jaldi uthne ki wajah se cheedha hua..! Lekin college se wapas aate hi… sab kuch badal jata hai… saamne ka nazara jaise hindi ki text book me muhawra padha tha – dekhte hi banta hai… he he he!! gar ki chat se, 4th floor house se… jaipur se baat karte kart eek baat to samajh me aagayi hai ki agar koi yahan aake jaipur ko dekhegea to bhool nahi payega!  seriously zara dekho to yaar! Ye apna hi jaipur hai, jahan tonk road par kuch gaadiyaan, cycles aur paidal log barish hone par bhaag ke kisi ped ko nai dhoondte.. balki ye dekhte hain ki humare alawa aur kaun bheeg raha hai??? Jahan log barish se bachne ke liye building ke basement me nahi balki building ki cchat pe khade ho jate hain… aur chai ki chuskiyon aur pakodon me kabhi kabhi apni baatein bhi kha jate hain! kasam se jab room me baithe baithe aisa mausam ho jata hai to mann nahi karta kuch aur karne ka.. lekin tabhi mann karta hai ki kuch baatein isi jaipur se karoon aur kuch acche gane play karke a khush hojata hoo…. Kyunki ABHI is always happy


CHEERS
@bh!
Posted on by Abhishek Jain | 3 comments

3 comments:

  1. hhmm the nice one post...and jaipur toh suna h mast city h ab toh dekhne ka bhi maan kar raha h :)

    ReplyDelete
  2. hmmm.....me too njoyed d same weather aftr cumin hme.....mast mausam tha ek do din to.....:-)

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete