Monday, September 7, 2009

KABHI KABHI MERE DIL ME KHYAL ATA HAI!!

Hmm.... Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai... (ha ha ha... acchi line hai, kisi pe style maarne ke liye) lekin kabhi kabhi ye line baat ki gehrai ko bhi batati hai... aur jab bhi main ye line ke bare me sochti hoon to mujhe mera ek school frn yaad aata hai... jo bada hi sad types tha.. super intelligent, super kitaabi keeda lekin…ek dum udaas! Hum use chidhate they “rotle ram, bigade kaam” se…. hmm… ab ye line mujhe uski yaad kyun dilati hai kuch to clear hua hoga… its because… jab bhi wo koi baat chalu karta tha, kehta tha… “kabhi kabhi mere dil me khyaal aata hai” ha ha ha aur hum apne kaan band kar lete they… kyunki pata tha ki wo ye kahega.. ki yaar meri koi nahi sunta, mummy pappa apna hukm chalate hain… aur mujhe iss duniya me koi nahi samajhta.. lekin ek baat thi jo wo nahi samajhta tha.. ki hum… jo log uske saath they… uske classmates hi sahi… uska dost they, use samajhte they… use apne saath aane ko kehte they.. chahe rote hue hi sahi uski saari sad baatein sunte they… use kabhi akela nahi cchodte they… par use apni lyf me kisi special ladki ki talash thi… kyunki use banani thi ek g/f jo use ‘I love you’ kahe….. school ke sare saal usne yun hi guzaar diye doston ki talash me lekin kabhi apne aas paas apne buddies ko nahi dekha.. aur kehta raha.. main dukhi hoon ki mera koi dost nahi… and after years!! Still we’re frens.. and still wo kehta hai ki koi use nahi samajhta…
“Kabhi kabhi mere dil me khayaal aata hai.. hum sare important tym pe andhe kyun ho jate hain??”


Cheers!
@BHI!!!
Posted on by Abhishek Jain | 3 comments

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. А! شكرا لهذا المنصب رائع. الاعجاب الوقت والجهد وانتم تضعون في بلوق الخاص بك ومعلومات مفصلة التي تقدمها.

    ReplyDelete
  3. As a Newbie, I am always searching online for articles that can help me. Thank you Wow! Thank you! I always wanted to write in my site something like that. Can I take part of your post to my blog?

    ReplyDelete