Saturday, May 23, 2009

Berang titli


Ek din bheed main mein .
Chala ja raha tha ,
Khush nahin tha jyada.
Hans raha tha ?
Ya shayad dikhla raha tha .


Bheed main ek titli mili,
Udi chand faasle tak fir mudi .
Rang mujh pe fenk ,
Jor se hassi .


Kuch bikhare rang ,
Muthi mai lekar main age bada.
Woh hasti titli dekhne ko,
Main fir wapis muda.


Hatheli pe baitha kar use,
Maine fir ek baar fir hassa.
Ek kahani maine sunai ,
Ek woh sunaati gayi.


Hawa ko pakad ,
Baarish se khel .
Yunhi muskura raha tha .
Goom tha kahin main ,
Na jane kahan ja raha tha.


Ek pal ka sapna tha shayad ...



Neend khulne pe khada tha wahin ..



Pakrne ko aasman main,
Hatheli faila raha tha .
Sookhi si baarish main bheega,
Berang titli uda raha tha.

Posted on by Abhishek Jain | No comments

0 comments:

Post a Comment